zalzalon ne kiya yuun shahr ko mismar ki bas
chiḳh uThe ḳhauf se bam-o-dar-o-divar ki bas
barishen le ga.i hain saara asasa mera
mehrban itna hua abr-e-guhar-bar ki bas
ab kisi dil men nahin mimbar-o-mehrab ka ḳhabt
aise badnam hue jubba-o-dastar ki bas
itni mai bhi na mili honT zara tar karte
apni taqdir pe vo ro.e hain mai-ḳhvar ki bas
shahr-e-taḳhrib men kya ḳhvahish ta.amir karen
aise taraj hue kucha-o-bazar ki bas
ab ke ḳhurshid ne barsa.i hai vo tariki
sar-barahna nikal aa.i hai shab-e-tar ki bas
zulm vo zulm ajal DhunDhti phirti hai panah
sabr vo sabr ki sharminda hai azar ki bas
yar-o-aghyar ne dekha hai ta.ajjub se bahut
‘mohsin’-ehsan pe thi vo tiron ki bauchhar ki bas
Leave a Reply