raat bhar jiine se kya sham-e-shabistan ki tarah
ek lamha hai bahut sho.ala-e-raqsan ki tarah
dil ke zaḳhmon pe bhi phulon ka guman hota hai
yaad aa.i hai tiri mauj-e-baharan ki tarah
kyuun ho ḳhamosh rafiqan-e-chaman kuchh to kaho
sub.h-e-gulshan bhi na guzre shab-e-zindan ki tarah
lazzat-e-dard ko arbab-e-havas kya janen
lazzat-e-dard ki arzan nahin darman ki tarah
yurish-e-dard ne pindar-e-vafa toḌ diya
ham bhi nadim hain bahut husn-e-pasheman ki tarah
yaad rakhega sulagta hua mahaul hamen
ḳharzaron men rahe ham gul-e-ḳhandan ki tarah
tab-e-ḳhuddar pe ik turfa sitam hai ‘mohsin’
un ka andaz-e-karam ghair ke ehsan ki tarah
Leave a Reply