is be tulua shab men kya tale.a-azma.i
ḳhurshid laakh ubhre lekin sahar na aa.i
kab tak fareb-e-jada kab tak ghubar-e-manzil
ai dard-e-na-tamami ai ranj-e-narsa.i
har gul ka chaak siina gulzar afrina
ab ke ajab ḳhazina teri bahar laa.i
sahil pe ḳhema-kash hain asudgan-e-sahil
tufan kar rahe hain kashti ki na-ḳhuda.i
har aah kah rahi hai ik dard ka fasana
har ashk likh raha hai ik qissa-e-juda.i
sahba kahan hai yaaro koi use pukaro
viran ho raha hai kunj-e-ghazal-sara.i
Leave a Reply