tumhārī shakl kisī shakl se milāte hue
maiñ kho gayā huuñ nayā rāsta banāte hue
mirā nasīb ki patjhaḌ meñ khil ga.e haiñ phuul
vo haath aa lagā hai haath āzmāte hue
maiñ jhuuT bol duuñ lekin burā to lagtā hai
tumhāre sher kisī aur ko sunāte hue
utar ke shāḳh se auroñ meñ ho gayā ābād
ki umr kaaT dī jis phuul ko khilāte hue
akelā maiñ nahīñ mujrim shab-e-visāl kā dost
thī terī phūñk bhī shāmil diyā bujhāte hue
tire jamāl kī rañgat nazar meñ rakhtā huuñ
maiñ canvās pe tasvīr-e-gul banāte hue
isī gumān meñ shab bhar sharāb piite rahe
ki ab vo haath ko rokegā haq jatāte hue