tolta kya mujh ko koi jauhari mizan men
main tha mera aur paḌa tha ko.ele ki kaan men
tum se to hota nahin hai e’tiraf-e-fan mira
chand jumle main hi kahta huun tumhari shaan main
barsar-e-paikar us ko dekh kar sab shaad the
ja laga sahil se vo tinka magar tufan men
saj rahi hain phir siyasi manDiyan charon taraf
dekhna tabdil hoga shahr qabristan men
ishq men sahra-navardi raas kya aati mujhe
vo tha koi aur jo phirta tha registan men
‘faiz’ ye mujh ko yaqin hai sazishon ke bavajud
phulti phalti rahegi urdu hindostan men
Leave a Reply