chheḌa hai naya naghma hayat-e-abadi ne
is baar tabassum na kiya sun ke kali ne
lafzon men utarne ka hunar siikh raha huun
ḳhatre men hain alfaz ke sinon men dafine
vo hain ki bhaTakte hain abhi pyaas ke maare
ham hain ki Dubo aa.e sarabon men safine
sunta huun taḌapte hue paani ka faqat shor
hassas banaya hai mujhe tishna-labi ne
aflak ke manzar hain mire samne uryan
baḳhshi ye bulandi mujhe be-bal-o-pari ne
shadab nazar aate hain ashjar har ik samt
kya shahr men jangal ki hava laa.i kisi ne
pahlu men dhaḌakta hai taḌapta hai shab-o-roz
bechain kiye rakkha hai mujh ko mire ji ne
jo raste jaate hain tire arsh ki janib
vo raste bhi dikhla.e mujhe dar-ba-dari ne
Leave a Reply