aqab se vaar tha aḳhir main aah kya karta
kisi bhi aaḌ men le kar panah kya karta
gharib-e-shahr tha ankhon men thi ana zinda
saza-e-maut na deta to shaah kya karta
mire ḳhulus ko jo sikka-e-gharaz samjha
main aise shaḳhs se aḳhir nibah kya karta
yuun us ke afv ka daman bhi dagh-dar na ho
yahi ḳhayal tha qasd-e-gunah kya karta
ye taar taar shab-o-roz reza reza hayat
main apne haal par aḳhir nigah kya karta
jo zindagi se na paa.e najat ki rahen
‘shakil’ us ko zamana tabah kya karta
Leave a Reply