kabhi hans kar kabhi aansu baha kar dekh leta huun
main har chehre ko a.ina dikha kar dekh leta huun
bahut bechain kar deti hain jab tanha.iyan ghar ki
dar-o-divar par shaklen bana kar dekh leta huun
chhupata hai bahut mujh ko mira saaya magar phir bhi
main ḳhud ko raushni se duur ja kar dekh leta huun
nazar aata nahin jab harf koi lauh-e-alam par
main apna naam likh kar aur miTa kar dekh leta huun
jise dekha nahin hai dekh kar bhi meri ankhon ne
main us ko apne ḳhvabon men saja kar dekh leta huun
nahin milta kahin jab apni hasti ka nishan mujh ko
main apna aks paani men baha kar dekh leta huun
jise dekha nahin rota huun us ki yaad men shab-bhar
jise paaya nahin us ko ganva kar dekh leta huun
kabhi karna ho andaza jab apne dard ka mujh ko
main us bedard ke dil ko dukha kar dekh leta huun
pahan leti hain jab shaḳhen hare mausam ke pairahan
koi TuuTa hua patta uTha kar dekh leta huun
Leave a Reply