koi kar sakta hai yaaro jaisa main ne kaam kiya
yaar ke zimme di kar neki apne taiin bad-nam kiya
ankhon se sahlaya kiya main talve us ke vaqt-e-khvab
itni khidmat dekh miri ghar ghair ke ja aram kiya
kaun si shab be-nala-o-zari main ne nahin ki us bin subh
kaun sa din be-ranj-o-musibat men na ro ro shaam kiya
kuchh na chala bas us pe azizo apni hi main jaan pe khela
akhir dard-e-hijr ne us ke mera kaam tamam kiya
shab kaha main ne us se mira dil zulf ka teri banda hai
kyuun use tu ne qaidi-e-dam-e-sumbul-e-mushkin-fam kiya
kaafi tha us ki bastagi ko to tar-e-kakul-e-rishta-e-zulf
kar ke asir-e-halqa-e-gesu kyuun use be-aram kiya
chin-ba-jabin ho bola duur ho tujh ko hai sauda divane
chhutne ka kyuun us ke tu ne dil men khayal-e-kham kiya
avval murgh rishta bapa sa tha paband-e-tar-e-zulf
halqa-e-gesu men la us ko akhir said-e-dam kiya
aarzu yak bosa ki rakhta dil men ‘jahandar’ ai pyare
laal-e-lab-e-shirin se tum ne par na kabhu inaam kiya
Leave a Reply