lijiye ḳhatm hua gardish-e-taqdir ka rang
aa.iye dekhiye miTti hui tasvir ka rang
ham ne jheli hain zamane men kashish ki kaḌiyan
ham se puchhe koi bigḌi hui taqdir ka rang
zikr-e-tadbir abas fikr-e-riha.i be-sud
jab ki miTta nazar aane laga taqdir ka rang
ham bhi aa.e hain kafan bandh ke sar se qatil
dekhna hai tiri chalti hui shamshir ka rang
kya bata.un main tumhen soz-e-darun ki had ko
din men sau baar badal jaata hai zanjir ka rang
uf re vo zor-e-javani ki ilahi tauba
aa.ina toḌ ke nikla tiri tasvir ka rang
ham samajhte hain zamane ki ravish ko ‘alim’
ham ne dekha hai badalte hue taqdir ka rang
Leave a Reply