
Poet
hai sach to ye ki mohabbat ka haq ada na hua
sitam to tark-e-mohabbat ka ik bahana hua
nikalte hain tire kuche se ab bhi jaan ki tarah
agarche qat-e-ta.alluq kiye zamana hua
kabhi to yuun tha ki imkan hi kya juda.i ka
aur ab lage ki ta.aruf bhi gha.ebana hua
hujum-e-yad mulaqat-e-muḳhtasar ka samar
har ek lamha mah-o-sal ka ḳhazana hua
kisi ko ham sa kahan dard sabza-o-gul ka
ki is chaman men hamara to ashiyana hua

Leave a Reply