andar to ḳhayalon ke ho aa.e ḳhayal apna
ifsha-e-haqiqat se Darta hai saval apna
kaghaz ki sadaqat huun go vaqf-e-kitabat huun
safhon se ibarat huun khulna hai muhal apna
a.ina hai zaat apni ma.amur huun jalvon se
mastur hai nazron se har chand jamal apna
ḳhush hai ki jo TuuTi hai aḳhir koi shai hogi
ḳhud men nazar aata hai shishe ko jo baal apna
parde ne kaha mujh ko parde ne suna mujh ko
naghma huun samajhta huun itna hi kamal apna
ghunche men raha huun main tinke men Dhala huun main
kirnon ki dua huun main sho.ala hai ma.aal apna
ai ham-nazaro Thahro kya ho jo baramad ho
har gosha-e-ḳhalvat se ik naqsh-e-ḳhayal apna
tah sat.h tak aa pahunchi ik mauj na haath aa.i
kab tak ye muhim aḳhir ab khinch luun jaal apna
ḳhushbu se ‘muhib’ khelo kya uud ko rote ho
is ahd ki nazron se maḳhfi hai malal apna
Leave a Reply