shakl-e-aks-o-aina masjid thi ya mai-khana tha
aap to mehman tha aur aap sahab-khana tha
kis ko jurat thi jo karta teri araish-giri
surat-e-shamshad to khud zulf tha khush shana tha
husn se tere hua hai ishq ka bazar garm
tu agar jalva na karta ham ko bhi sauda na tha
thi sahar ‘maruf’ shakh-e-sarv-e-gul kham ja-ba-ja
har kaf-e-khake–chaman goya ibadat-khana tha
Leave a Reply