asan-e-haqiqi hai na kuchh sahal-e-majazi
maalum hui rah-e-mohabbat ki darazi
kuchh lutf o nazar lazim o malzum nahin hain
ik ye bhi tamanna ki na ho shobada baazi
dil khuub samajhta hai tire harf-e-karam ko
har-chand vo urdu hai na turki hai na taazi
qaaim hai na vo husn-e-rukh-e-yar ka aalam
baaqi hai na vo shauq ki hangama-navazi
ai ishq tiri fath bahar-hal hai sabit
mar kar bhi shahidan-e-mohabbat hue ghazi
kar jald hamen khatm kahin ai gham-e-janan
kaam aaegi kis roz tiri sina-gudazi
maalum hai duniya ko ye ‘hasrat’ ki haqiqat
khalvat men vo mai-khvar hai jalvat men namazi
Leave a Reply