Wahi Jo Rah Ka Patthar Tha Be-Tarash Bhi Tha

vahī jo raah kā patthar thā be-tarāsh bhī thā

vo ḳhasta-jāñ hī kabhī ā.īna-qimāsh bhī thā

lahū ke phuul rag-e-jāñ meñ jis se khilte the

vahī to shīsha-e-dil thā ki paash paash bhī thā

bikhar ga.ī haiñ jahāñ TuuT kar ye chaTTāneñ

yahīñ to phuul koī sāhib-e-farāsh bhī thā

uThā.e phirtā thā jis ko salīb kī sūrat

vahī vajūd to ḳhud us kī zinda laash bhī thā

palak jhapakne meñ kuchh ḳhvāb TuuT jaate haiñ

jo but-shikan hai vahī lamha but-tarāsh bhī thā

vo harf-e-nāz ki resham kā taar kahiye jise

vahī to dil ke liye ik hasīñ ḳharāsh bhī thā

adā-e-husn jise kahiye be-ruḳhī ‘tanvīr’

usī kī tarz-e-taġhāful kā raaz faash bhī thā

Leave a Comment