chashm-e-tar le ke jo us ghar se nikal ja.un main
sab badal jaa.e jo manzar se nikal ja.un main
zindagi mujh pe musallat hai kisi Dar ki tarah
kaise ji pa.un jo is Dar se nikal ja.un main
main yahan qaid huun murat ki tarah sang-tarash
tu agar chahe to patthar se nikal ja.un main
phir to aage ka.i nadiyan ka.i chashme honge
bas shab-o-roz ke asthar se nikal ja.un main
ḳhair mujh ko jo pukare kabhi bahar ki taraf
apne andar ke har ik shar se nikal ja.un main
dil-e-yakta jo mira saath gavara hi nahin
ruuh ban kar tire paikar se nikal ja.un main
jism zindan hi sahi soch magar bara-dari
jis taraf chahun kisi dar se nikal ja.un main
Leave a Reply