sharmindagi-e-dil ko chhupaoge kahan tak
aahon ki rasa.i hai zamin aur zaman tak
bin us ke hai dushvar yahan saans bhi lena
aaya hai koi dil men utar kar rag-e-jan tak
kanon men vo amrit sa utar jaata hai ban kar
tasir masiha.i ki aa.e jo zaban tak
har dil men tamanna to har ik aankh men hasrat
shaida.i-e-ulfat hai yahan pir-o-javan tak
mahrum nazar hai mira zaḳhmon se bhara dil
hasil hai hamen daad faqat zor-e-bayan tak
gardan ye kisi taur kabhi bach na sakegi
aa ja.egi jis roz qaza nok-e-sinan tak
jis roz yaqin aa.ega mar ja.enge us din
rahne do mohabbat ko yunhi vahm-o-guman tak
Leave a Reply