ham bhi guzar gae yahan kuchh pal guzar ke
raten thiin qarz ki yahan din the udhar ke
jaise purana haar tha rishta tira mira
achchha kiya jo rakh diya tu ne utaar ke
dil men hazar dard hon aansu chhupa ke rakh
koi to karobar ho bin ishtihar ke
kya jaane ab bhi dard ko kyuun hai miri talash
TukḌe bhi ab kahan bache is ke shikar ke
shayad zaban pe qarz tha ham ne chuka diya
ḳhamosh ho gae hain tujhe ham pukar ke
aise sulag uTha tiri yadon se dil mira
jaise dhadhak uThen kahin jangal chinar ke
Leave a Reply