• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kaleje Karb Sahte Sahte Chhalni Ho Chuke Hain

Kaleje Karb Sahte Sahte Chhalni Ho Chuke Hain

kaleje karb sahte sahte chhalni ho chuke hain

magar ab kya karen ham is ke aadi ho chuke hain

hamare samne se ishq-o-ulfat ko uTha le

ye qisse ham tak aate aate raddi ho chuke hain

sitam ai gardish-e-dauran kise dukhḌe suna.en

dilasa dene vaale haath miTTi ho chuke hain

to kya pyason ko paani bhi pilane se ga.e ham

to kya ye maan len ham log kuufi ho chuke hain

hamare shahr se mumkin ho to bach kar guzar ja

hamare shahr ke sab log vahshi ho chuke hain

are hairat se kya dekhe hain ankhon ko hamari

ye mashkize to ik muddat se ḳhali ho chuke hain

jo mauzun hain unhen qimat munasib hi milegi

magar saste bikenge vo jo daghi ho chuke hain

hamara naam namon se alag likkhegi duniya

ki ham teri mohabbat men misali ho chuke hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

iffat-zarrin poetess

Agar Wo Mil Ke Bichhadne Ka Hausla Rakhta

Azmat-E-Fan Ke Parastar Hain Hum

Kya Dekhte Ho Rah Mein Ruk Kar Yahan Wahan

Shauq Ki Had Ko Abhi Par Kiya Jaana Hai

Nau-Giraftar-E-Mohabbat Kabhi Aazad Na Ho

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet