jo kah rahe hain ye andaz mujrimana hai
lahu men un ke talatum naya uThana hai
nahin hai shikva raqibon se is tabahi ka
ye apne haath se karni ka shaḳhsana hai
main us ke aage bhala kaise jiit sakta huun
vo jis ka shauq hai yaaro mujhe harana hai
dayar-e-ghair ke anjan dasht ke raahi
kise ḳhabar hai kahan kis ka ab-o-dana hai
sada faqir ki elaan karti hai goya
mujhe talash-e-ruḳh-o-qalb-e-ajizana hai
rumuz-e-fahm-o-farasat hain har jagah pinhan
janab-e-mir ka har sher aqilana hai
hai ye bhi ba.is-e.azaz ai mire munsif
hamare shana-ba-shana tumhara shana hai
ḳhuda kare ki miri qaum ko uruuj mile
amir-e-shahr ka andaz fatehana hai
ajab tamasha hai hairan ho raha huun main
ki jahilon ka bhi andaz alimana hai
ajiib tarz-e-hukumat hai hukmaranon ka
jidhar bhi dekhiye ‘anjum’ gharib-ḳhana hai
Leave a Reply