sahar ko dhund ka ḳhema jala tha
hayula kohar ke andar chhupa tha
makan jismon ki ḳhushbu se tha ḳhali
magar sayon se angan bhar gaya tha
jali hiddat se nam-alud miTTi
koi suraj zamin men dhans gaya tha
ḳhamoshi ki ghuTan se chiḳh uTTha
mira gumbad bhi sahra ki sada tha
ubhar aa.i thi dariyaon men ḳhushki
magar Dhalvan par paani khaḌa tha
uḌa tha main havaon ke sahare
ruki andhi to niche gir paḌa tha
bhayanak tha mire andar ka insan
main us ko dekh kar kitna Dara tha
lahu ‘siddiq’ ab tak bah raha hai
kabhi ik phuul mathe par laga tha
Leave a Reply