ba-zahir sehat achchhi hai jo bimari ziyada hai
isi khatir budhape men havas-kari ziyada hai
chale ga kis tarah se karobar-e-shauq is surat
rasad kuchh bhi nahin hai aur talabgari ziyada hai
mohabbat kaam hai jis tarah ka bas dekhte jaao
ruka rahta bhi hai aksar magar jaari ziyada hai
hamen khud bhi yaqin aata nahin is ka jo ye ham par
giran-bari ki nisbat se subuk-sari ziyada hai
suragh is ka kahin andar to kuchh milta nahin be-shak
ye halat vo hai jo ham par abhi taari ziyada hai
utha sakte nahin jab chuum kar hi chhodna achchha
mohabbat ka ye patthar is dafa bhari ziyada hai
hifazat hi hamara masala tha roz-e-avval se
so apne ird-gird ab char-divari ziyada hai
imarat ye mukammal hone vaali hi nahin lagti
ki is taamir men kuchh rang-e-mismari ziyada hai
zaruri ho to kar denge ‘zafar’ tardid bhi jaari
bayan-e-ishq apna ab ke akhbari ziyada hai
Leave a Reply