main ne vo nazm likhi hai ki ḳhuda janta hai
us ka har lafz ḳhuda.i ka pata janta hai
meri ankhon men ye tasvir zara ghaur se dekh
mujh ko us shaḳhs se milna hai bata janta hai
main bhi zanjir nahin hota kisi vahshat se
vo bhi tanha.i se bachne ki dua janta hai
din to main phir bhi kisi Dhab se bita leta huun
raat jo mujh pe guzarti hai ḳhuda janta hai
meri surat ye dikha.e bhi to kaise mujh ko
mere baare men ye a.ina bhi kya janta hai
mere kashkol ko bhar de ki main ḳhali huun bahut
tujh siva kaun saḳhi mera pata janta hai
dil ke baare men main tafsil bata.un tumhen kya
muḳhtasar ye ki mohabbat ko saza janta hai
mas.ala ye hai ki main ḳhush huun akela ho kar
is qadar ḳhush ki faqat mera ḳhuda janta hai
zindagi khel hai shatranj se bhi pechida
janne vaala bhi is baab men kya janta hai
harf ko harf batata hai vo ḳhamosh dahan
saut ko saut samajhta hai sada janta hai
‘mir’ ki mujh ko sanad de to main sochun is par
narava harf ko jo harf-e-rava janta hai
dil dhaḌakne ki bhi avaz nahin aati ‘zeb’
aisi ḳhamoshi ko tu kaise sada janta hai
Leave a Reply