• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jab Koi Phul musaKHKHar Na Ho Aasani Se

Jab Koi Phul musaKHKHar Na Ho Aasani Se

jab koi phuul musaḳhḳhar na ho asani se

kaam leta huun vahan naqd-e-sana-ḳhvani se

raushni dene lage the miri ankhon ke charagh

raat takta tha samundar mujhe hairani se

kar ke dekhunga kisi tarah lahu ki barish

atish-e-hijr bujhegi na agar paani se

un ko paane ki tamanna nahin jaati dil se

kya munavvar hain sitare miri tabani se

koi masruf hai taz.in men qasr-e-dil ki

chob-kari se kahin a.ina-samani se

ḳhak-zadon se ta.alluq nahin rakhte kuchh log

mezbani se gharaz un ko na mehmani se

main isi ḳhaak pe baiTha huun baḌe shauq ke saath

koi nisbat nahin ab tak mujhe sultani se

band ho jaa.e agar rauzan-e-imkan-e-ḳhayal

ḳhvab khulte hain mire dil men faravani se

meri surat se jo bezar hain ab bhi ‘sajid’

kab vo ḳhush honge mire tarz-e-musalmani se

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Bahut Se Zamin Mein dabae Gae Hain

Gham-E-Jaan Gum Gham-E-Duniya Mein to Hona Mushkil

Be-Gunahi Ka Har Ehsas miTa De Koi

Ghar lauT Ke Roenge Man Bap Akele Mein

Bhuk Ki kaDwahaT Se Sard Kasile honT

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet