phail rahe hain vaqt ke saa.e
dekhen raat kahan tak jaa.e
dida-o-dil ki baat na puchho
ek laga.e ek bujha.e
aaj ye hai mausam ka taqaza
zulf tiri khul kar lahra.e
in ankhon se moti barse
in honTon ne phuul khila.e
dekh-bhal kar zahr piya hai
soch-samajh kar dhoke khaa.e
aaj vo tanha raat kaTi hai
aansu tak ankhon men na aa.e
‘saif’ zamana samjhata hai
kaun apne hain kaun para.e
Leave a Reply