aa ki chahat vasl ki phir se badi pur-zor hai
aa ki dil men hasraton ne phir machaya shor hai
aa ki ab to duur tak khushbu ki chadar bichh gai
aa ki rukh bad-e-saba ka apne ghar ki or hai
aa ki phir se chand par dilkash javani aa gai
aa ki phir se aj-kal angdaiyon ka zor hai
aa ki kaliyon ke chatakhne ka vo mausam aa gaya
aa ki dil men dhadkanon ka ik anokha shor hai
aa ki jugnu kar rahe raton men tikhi raushni
aa ki phir se raqs men kaali ghata ghanghor hai
aa ki phir badal tire aane ki dete hain khabar
aa ki phir ab mastiyon men apne man ka mor hai
aa ki ab to dam bhi hai jaise labon tak aa gaya
aa ki tere haath men ab zindagi ki dor hai
aa ki mausam ka asar ‘azim’ pe ab hone laga
aa ki taqat zabt ki ab ho chali kamzor hai
Leave a Reply