bhuli-bisri ḳhvahishon ka bojh ankhon par na rakh
ḳhub-surat a.inon men gham ka pas-manzar na rakh
dekh baḌh kar shoḳhiyan maujon ki aur qismat ka khel
kashtiyan dariya ke sanjida kinaron par na rakh
ya to uḌ ja saath le kar qaid ki majburiyan
varna apni jur.aton ka naam bal-o-par na rakh
ham to sar rakhte hain sajdon ke liye majbur hain
tu agar sajdon ka qatil hai to sang-e-dar na rakh
dene vaale sar diya hai to koi sauda abhi de
varna in kandhon pe ye bekar bar-e-sar na rakh
bevafa.i ki alamat ban chuke asnam sab
dil ke but-ḳhane men ‘raunaq’ ab koi patthar na rakh
Leave a Reply