kya kahen tujh se ki kis kis ke karam hain ham hain
kuchh tire kuchh tiri duniya ke sitam hain ham hain
tu ne puchha hai to ahval bata dete hain
bas tiri yaad hai aur aḳhiri-dam hain ham hain
haa.e kya jaan ke darvaza na khola us ne
ham pukara hi kiye yaar ye ham hain ham hain
kaise kaise vo kiya karta hai va.ade ham se
sub.h se shaam talak us ke bharam hain ham hain
saqiya ham se bhi derina marasim hain tire
ye jo mahrum-e-qadah gharq-e-alam hain ham hain
tu hi shiraza-e-jan hai tu hi shiraza-e-dil
jab talak ham pe tire jaur-o-sitam hain ham hain
jin ko majnun bhi kiya karta hai jhuk kar adab
garche is tarah ke ashiq baḌe kam hain ham hain
ye hamara hai kisi aur ka lasha to nahin
kis liye aankh ke goshe tire nam hain ham hain
saqiya hifz-e-maratib ka zara dhyan rahe
aisa lagta hai ki me.aar se kam hain ham hain
ghair ke dam se hai raunaq bhi charaghan bhi ‘vasi’
teri mahfil men agar sabz-qadam hain ham hain
Leave a Reply