ye kis ne phone pe di sal-e-nau ki tahniyat mujh ko
tamanna raqs karti hai takhayyul gungunata hai
tasavvur ik nae ehsas ki jannat men le aaya
nigahon men koi rangin chehra muskurata hai
jabin ki chhut padti hai falak ke mah-paron par
ziya phaili hui hai saara aalam jagmagata hai
shafaq ke nuur se raushan hain mehraben fazaon ki
surayya ki jabin zohra ka aariz timtimata hai
purane saal ki thithuri hui parchhaiyan simtin
nae din ka naya suraj ufuq par uthta aata hai
zamin ne phir nae sar se naya rakht-e-safar bandha
khushi men har qadam par aftab ankhen bichhata hai
hazaron khvahishen angdaiyan leti hain siine men
jahan-e-arzu ka zarra zarra gungunata hai
umiden daal kar ankhon men ankhen muskurati hain
zamana jumbish-e-mizhgan se afsane sunata hai
masarrat ke javan mallah kashti le ke nikle hain
ghamon ke na-khudaon ka safina dagmagata hai
khushi mujh ko bhi hai lekin main ye mahsus karta huun
masarrat ke is aine men gham bhi jhilmilata hai
hamare daur-e-mahkumi ki muddat ghatti jaati hai
ghulami ke zamane men izafa hota jaata hai
yahi andaz gar baaqi hain apni sust-gami ke
na jaane aur kitne saal aenge ghulami ke
Leave a Reply