apni majburi batata raha ro kar mujh ko
vo mila bhi to kisi aur ka ho kar mujh ko
main ḳhuda to nahin jo us ko dikha.i na diya
DhunDhta mera pujari kabhi kho kar mujh ko
pa liya jis ne tah-e-ab bhi apna sahil
mutma.in tha mira tufan Dubo kar mujh ko
reg-e-sahil pe likhi vaqt ki tahrir huun main
mauj aa.e to chali ja.egi dho kar mujh ko
niind hi jaise koi kunj-e-aman hai ab to
chain milta hai bahut der se so kar mujh ko
fasl-e-gul ho to nikale mujhe is barzaḳh se
bhuul jaa.e na tah-e-sang vo bo kar mujh ko
Leave a Reply