divar-e-takalluf hai to mismar karo na
gar us se mohabbat hai to iz.har karo na
mumkin hai tumhare liye ho ja.un main asan
tum ḳhud ko mire vaste dushvar karo na
gar yaad karoge to chala a.unga ik din
tum dil ki guzargah ko hamvar karo na
bahar ke mahazon ki tumhen fat.h mubarak
ab nafs ke shaitan ko giraftar karo na
kahna hai agar kuchh to pas-o-pesh karo mat
khul ke kabhi jazbat ka iz.har karo na
har rishta-e-jan toḌ ke aaya huun yahan tak
tum bhi miri ḳhatir koi isar karo na
‘aijaz’ tumhare liye sahil pe khaḌa huun
dariya-e-vafa mere liye paar karo na
Leave a Reply