mujh ko jiine se fa.eda bhi nahin
aur phir marzi-e-ḳhuda bhi nahin
nahin ma.alum kya main kahta huun
tum nahin ho to kya ḳhuda bhi nahin
maut ab zindagi bhi hai mujh ko
jab mire dard ki dava bhi nahin
sar-e-balin vo muskurate hain
meri taqdir men shifa bhi nahin
jhilmilata hai subah ka taara
ab to jiine ka aasra bhi nahin
dar-e-dildar pa.un kiya ‘javed’
kahin do-char naqsh-e-pa bhi nahin
Leave a Reply