ḳhabar un ko na ho kuchh bhī hameñ taskīñ bhī mil jaa.e
sabā ai kaash un kī zulf se nik.hat churā laa.e
kisī ko to mile tāza-o-tar phūloñ ke gul-daste
magar ham ne to murjhā.e hue gul bhī nahīñ paa.e
hamīñ tishna rahe mai-ḳhāna-e-hastī meñ ai saaqī
janāb-e-shaiḳh ne masjid meñ sāġhar ḳhuub chhalkā.e
farozāñ hai matā-e-ārzū jis ke ḳhayāloñ se
tasavvur meñ haiñ us zohra-jabīñ ke ḳhush-numā saa.e
mohabbat rang laatī hī rahī bāġh-e-tamannā meñ
chaman meñ jis kalī ko ham ne dekhā aap yaad aa.e
guzar jā.ūñgā duniyā se ‘razā’ maiñ be-niyāzāna
kise mālūm hai tum tak na aa.e yā ḳhabar aa.e