jab talak tiir tira aave hai nakhchir talak
le ye nakhchir hi aa pahuncha tire tiir talak
dast-o-pa maare bahut chah-e-zanakh men dil ne
haath lekin na gaya zulf ki zanjir talak
shukr-sad-shukr ki uqde yuun hi hal hote gae
kaam pahuncha na hamara kabhi tadbir talak
us ki surat ka divana huun ki jis ka khat-o-khal
na gaya mani-o-bahzad ki tahrir talak
hai yahi shauq shahadat ka agar dil men to ishq
le hi pahunchega hamen bhi tiri shamshir talak
ik musalman ka ji jaata hai ulfat men tiri
ja kahe koi ye us kafir-e-be-pir talak
jab talak zar hai to sab koi hai phir koi nahin
sach hai makkhi bhi rahe hai shakar-o-shir talak
is tarah baith gaya khana-e-dil mera ki bas
kaam phir us ka na pahuncha kabhi taamir talak
khuun ho ho ke tapakta hai ye sau rang se dil
ta kisi rang men pahunche tiri tasvir talak
main bhi ik maani-e-pechida ajab tha ki ‘hasan’
guftugu meri na pahunchi kabhi taqrir talak
Leave a Reply