mahsus lams jis ka sar-e-rah-guzar kiya
saaya tha vo usi ka jise ham-safar kiya
kuchh be-Thikana karti rahin hijraten mudam
kuchh meri vahshaton ne mujhe dar-ba-dar kiya
rahna nahin tha saath kisi ke magar rahe
karna nahin tha yaad kisi ko magar kiya
tu aa.ina bhi aap tha aur aks bhi tha aap
tere jamal hi ne tujhe ḳhush-nazar kiya
vo jis Dagar milega vahin mar miTunga main
tum dekhna safar ka irada agar kiya
jab zindagi guzar di aaya hai tab ḳhayal
kyuun us ka intizar ‘zafar’ umr bhar kiya
Leave a Reply