rau bhaTakne lage jab ḳhayalat ki
manzilen hain vahin par kamalat ki
kis liye aa.e puchha hamen kis liye
kya ḳhabar ho ga.i un ko halat ki
ham to chup rah ga.e kuchh kaha bhi nahin
muskura kar agar us ne kuchh baat ki
hai ta.ajjub ki daman bhigoya nahin
ansuon ki magar us ne barsat ki
pyaar hi pyaar ho koi matlab na ho
qadr lekin kahan aise jazbat ki
jin ko pa kar ‘vasiya’ na phir kho sake
hai talash aaj bhi aise lamhat ki
Leave a Reply