zindagi apna safar tai to karegi lekin
ham-safar aap jo hote to maza aur hi tha
kaaba o dair men ab dhund rahi hai duniya
jo dil o jaan men basta tha khuda aur hi tha
ab ye aalam hai ki daulat ka nasha taari hai
jo kabhi ishq ne bakhsha tha nasha aur hi tha
duur se yunhi laga tha ki bahut duuri hai
jab qarib aae to jaana ki gila aur hi tha
mere dil ne to tujhe aur hi dastak di thi
tu ne ai jaan jo samjha jo suna aur hi tha
Leave a Reply