kahin giraft nahin koi istiara nahin
navan falak huun ki jis par koi sitara nahin
ruke munder pe kab tairan-e-rang sada
sabat ho jise aisa koi nazara nahin
ulajh raha hai mira bakht phir mire dil se
hamara kaise hai vo shakhs jo hamara nahin
dara-e-sarhad-e-aql-o-khirad agar hai khala
to ye na samjhen ki is bahr ka kinara nahin
ham ahl-e-dil the so ye hadisa to hona tha
ki ahd vo bhi saha hai jise guzara nahin
Leave a Reply