amin-e-raz hai mardan-e-hur ki darveshi
ki jibrail se hai us ko nisbat-e-khveshi
kise khabar ki safine dubo chuki kitne
faqih o suufi o shair ki na-khush-andeshi
nigah-e-garm ki sheron ke jis se hosh ud jaaen
na ah-e-sard ki hai gosfandi o meshi
tabib-e-ishq ne dekha mujhe to farmaya
tira maraz hai faqat aarzu ki be-nishi
vo shai kuchh aur hai kahte hain jan-e-pak jise
ye rang o nam ye lahu aab o naan ki hai beshi
Leave a Reply