hava men jo ye ek namnaki hai
sada tez raftar dariya ki hai
qadam rok mat pichhe muḌ ke na dekh
ye avaz kam-baḳht duniya ki hai
makan to mira la-makan ho gaya
shikayat magar tangi-e-ja ki hai
bhaḌakta hai shola sa rang-e-sukut
qalandar ke lahje men be-baki hai
paḌa rah badan ke dariche na khol
miri ungliyon men havasnaki hai
shajar se lipaT kar na ro.egi ye
hava jo chali hai vo sahra ki hai
mire shisha-e-la-zaman par abhi
bahut gard imroz o farda ki hai
chamak aankh men hairaton ki nahin
bas ik dhuup tab-e-tamasha ki hai
Leave a Reply