• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kitni Hi Be-Zarar Sahi Teri KHarabiyan

Kitni Hi Be-Zarar Sahi Teri KHarabiyan

kitni hi be-zarar sahi teri ḳharabiyan

‘basir’ ḳharabiyan to hain phir bhi ḳharabiyan

halat jagah badalne se badli nahin miri

hoti hain har jagah ki kuchh apni ḳharabiyan

tu chahta hai apni na.i ḳhubiyon ki daad

mujh ko aziiz teri purani ḳharabiyan

junhi ta.alluqat kisi se hue ḳharab

saare jahan ki us men milengi ḳharabiyan

sarkar ka hai apna hi me.ar-e-intiḳhab

yaaro kahan ki ḳhubiyan kaisi ḳharabiyan

aadam ḳhata ka putla hai gar maan len ye baat

niklengi is ḳharabi se kitni ḳharabiyan

un hastiyon ki raah pe dekhenge chal ke ham

jin men na thiin kisi bhi tarah ki ḳharabiyan

bo.enge apne baagh men sab ḳhubiyon ke biij

jaḌ se ukhaḌ phenkenge saari ḳharabiyan

‘basir’ kei shaḳhsiyat bhi ajab hai ki is men hain

kuchh ḳhubiyan ḳharab kuchh achchhi ḳharabiyan

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Zara Zara Si Baat Par Wo Mujhse Bad-Guman Rahe

Ummid Par Hamari Ye Duniya Khari Nahin

Mere Rone Pe Ye Hansi Kaisi

Koi Nao Nahin Tayyar Karna

Apne Jazbon Ki Thakan Yun Bhi Utari Humne

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet