meri rusva.i ka yuun jashn manaya tum ne
ret par naam likha aur miTaya tum ne
fikr ki dhuup men jhulsi huun ka.i sadiyon tak
main ne paaya hai tumhen mujh ko na paaya tum ne
main ne jab chaha bhula duun tiri yadon ko tabhi
pyaar ka giit mujhe aa ke sunaya tum ne
ishq ne sudh hi bhula di thi mire tan man ki
TuuT hi jaati magar mujh ko bachaya tum ne
vaqt ne mujh se usi vaqt hansi chhini hai
jab bhi roti hui ankhon ko hansaya tum ne
ehtiyaton ne mire paaon vahin rok liye
jab miri samt kabhi haath baḌhaya tum ne
Leave a Reply