• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kis Zaban Se Shikwa-E-Jaur-E-Sitam-Ara Karen

Kis Zaban Se Shikwa-E-Jaur-E-Sitam-Ara Karen

kis zaban se shikva-e-jaur-e-sitam-ara karen

jis ko achchha kah chuke us ki bura.i kya karen

un se jab puchha gaya bismil tumhare kya karen

hans ke bole zaḳhm-e-dil dekha karen roya karen

ho ke ghash jalve se naql-e-hazrat-e-musa karen

aap agar parda uTha bhi den to ham parda karen

husn se va.ada-ḳhilafi ishq se tauba karen

diin ke bhi hon bure duniya ko bhi rusva karen

kam se kam aisi to kuchh tadbir kar ai jazb-e-ishq

vo hamen dekhen na dekhen ham unhen dekha karen

ik zamana ho raha hai ishq men ham se ḳhilaf

kis ke kis ke dil men dil Dalen ilahi kya karen

har taraf zindan ki divaron pe hai tasvir-e-dost

ab jidhar chahen asiran-e-sitam sajda karen

vaah kya achchha taqaza vaah kya insaf hai

dard to den aap aur tasir ham paida karen

hazrat-e-‘manzar’ nahin hain va.izo is rang ke

aaj mai-ḳhvari karen kal baiTh kar tauba karen

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

akbar-allahabadi

Be-Parda Nazar Aain Jo Kal Chand Bibayan

Ishq Mein Koi Hamsari Karta

sheikh-ibrahim-zauq

Lete Hi dil Jo Aashiq-E-dil-Soz Ka Chale

afroz-rizvi

Tumhaara Istiara Aankh Mein Hai

Shayad Meri Fariyaad Sunai Nahin Deti

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet