kiya hai ishq ne azad do-jahan se hamen
na kuchh yahan se gharaz hai na kuchh vahan se hamen
khudi ko bhuul ke mast-e-alast ho jaana
mila hai faiz ye khum-khana-e-mughan se hamen
azaan haram men hai naqus hai kunisht men to
sadaen aati hain teri kahan kahan se hamen
phir aaj uttha hai vo parda-e-hijab kahin
shuaen si nazar aati hain kuchh yahan se hamen
misal-e-shama hain sab rat-bhar ke ye jalve
sahar ko uthna hai is mahfil-e-jahan se hamen
mita ke hasti-e-mauhum tujh ko paaya hai
pata mila hai tira khak-e-be-nishan se hamen
chaman se uth gaya ‘raunaq’ jab ashiyan apna
na phir bahar se matlab na kuchh khizan se hamen
Leave a Reply