• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Masarraton Ke Khazane Hi Kam Nikalte Hain

Masarraton Ke Khazane Hi Kam Nikalte Hain

munawwar-rana

masarraton ke khazane hi kam nikalte hain

kisi bhi siine ko kholo to gham nikalte hain

hamare jism ke andar ki jhiil suukh gai

isi liye to ab aansu bhi kam nikalte hain

ye karbala ki zamin hai ise salam karo

yahan zamin se patthar bhi nam nikalte hain

yahi hai zid to hatheli pe apni jaan liye

amir-e-shahr se kah do ki ham nikalte hain

kahan har ek ko milte hain chahne vaale

nasib valon ke gesu men kham nikalte hain

jahan se ham ko guzarne men sharm aati hai

usi gali se kai mohtaram nikalte hain

tumhi batao ki main khilkhila ke kaise hansun

ki roz khana-e-dil se alam nikalte hain

tumhare ahd-e-hukumat ka saneha ye hai

ki ab to log gharon se bhi kam nikalte hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hum the Kisi Ka Dhyan Tha Wo Bhi Nahin Raha

Apne Aansu Hain Tumhaare Nahin Ro Sakta Main

Mujhse Luknat Hui Aur Baat Sanbhaali Usne

Ujle Moti Humne Mange the Kisi Se Thaal Bhar

asrarul-haq-majaz

dilli Se Wapsi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet