ik ishq hai ki jis ki gali ja raha huun main
aur dil ki dhadkanon se bhi ghabra raha huun main
kar dega vo muaaf mire har gunah ko
ye soch kar gunah kiye ja raha huun main
chhoda kahin ka mujh ko na duniya ke dard ne
phir bhi tira karam ki jiye ja raha huun main
rah-e-vafa men mit gae jab fasle sabhi
phir kyuun nigah-e-yar se sharma raha huun main
phir ho rahi hain pyaar ki sab hasraten javan
phir dil usi ki yaad se bahla raha huun main
ik din chuka hi dunga zamane ka bhi hisab
kuchh baat hai jo zabt kiye ja raha huun main
ulfat ki raah par tujhe mil jaega khuda
is be-qarar dil ko ye samjha raha huun main
vo shokh ik nigah men sab saaf kah gaya
muddat se jis ko kahne se katra raha huun main
‘azim’ yaqin nahin use kyuun meri baat par
kya kam hai ye ki us ki qasam kha raha huun main
Leave a Reply