main harf-e-ibtida huun
musalsal ik sada huun
sahar ki aarzu men
kahan tak aa gaya huun
takhayyul huun usi ka
main jis ka naqsh-e-pa huun
zamana dekhta hai
main jis ko dekhta huun
mujhe ye hosh kab hai
bura huun ya bhala huun
use suljhaun kaise
main khud uljha hua huun
Leave a Reply