qalam dil men duboya ja raha hai
naya manshur likkha ja raha hai
main kashti men akela to nahin huun
mire hamrah dariya ja raha hai
salami ko jhuke jaate hain ashjar
hava ka ek jhonka ja raha hai
musafir hi musafir har taraf hain
magar har shakhs tanha ja raha hai
main ik insan huun ya saara jahan huun
bagula hai ki sahra ja raha hai
‘nadim’ ab aamad aamad hai sahar ki
sitaron ko bujhaya ja raha hai
Leave a Reply