ab un se aur taqaza-e-bada kya karta
jo mil gaya hai main us se ziyada kya karta
bhala hua ki tire raste ki khaak hua
main ye tavil safar pa-piyada kya karta
musafiron ki to khair apni apni manzil thi
tiri gali ko na jaata to jaada kya karta
tujhe to ghere hi rahte hain rang rang ke log
tire huzur mira harf-e-sada kya karta
bas ek chehra kitabi nazar men hai ‘nasir’
kisi kitab se main istifada kya karta
Leave a Reply