mausam sard havaon ka
mere ghar se nikla tha
chup taari thi duniya par
ek faqat main roya tha
vo jo dil men tufan tha
qatra qatra barsa tha
dukh ke taaq pe shaam Dhale
kis ne diya jalaya tha
ab ke mausam barkha ka
burqa pahan ke nikla tha
saThvin saal ke aane par
pahli baar main hansa tha
aag lagi thi dariya men
lekin sahil chup sa tha
Leave a Reply